Feminist Mentoring

Jasmeen Patheja contributes to feminist movements through a feminist mentoring process. Feminist Mentoring as a methodology for movement building was introduced to Jasmeen through the South Asia Young Women’s Leadership and Mentoring Programme. The programme is an initiative of CREA , with Global Fund For Women and its partner organisations in Bangladesh, India and Nepal. The project was conceptualised by Srilatha Batliwala( CREA) and Global Fund For Women.

Between 2017- 2023 Patheja contributed in the capacity of a feminist mentor to young women leaders in organisations including:
Anandi , North East Network, Shaheen, Kutch Mahila Vikas Sangathan, Sneha, Sadbhavana Trust, Sakar. Patheja worked with a cohort of mentors.

 
 

Pooja:

Mentorship/mentoring jab shuru me hum ye word sunte the toh hume lagta tha ke humare jo mentor honge woh hume kuch kaam/task batayenge aur phir hume woh task karke unko dikhana hoga aur aise hum mentor se kaam sikhenge.

CREA ke saath jo humari mentorship journey rahi hai who kaafi alag thi humari soach se. iss mentoring process me hume ek space milti hai jaha hum khul ke apni baat/soach share kar sake judge hone ke darr ke bina. Hume lagta hai hum cheezo ko alag tarah se dekhte hai ya humari baate koi samjh nahi paate. Humse log kehte hai ke hum imagination me jeete hai aur ajeeb baate karte hai. Ye saare comments ke wajah se kisi ke bhi samne kuch bolne me bahut soachte hai par jab hum jab jasmeen di ya vandana di se baat karte hai toh hume kuch bhi bolne se pehle soachna nahi padta.

Maine mere mentors se bahut kuch sikha hai jaise Hume sab kuch Pehle se pata hona Ya sab kuch sikhna zaroori nahi Hume jo aata hai hum woh share kar sakte hai dusro ke saath Par agar koi kuch sikhna chahte hai unke liye woh space banana taaki woh use sikh sake, Ye zyada zaroori hai.

Hume yaad hai jab bhi hum jasmeen di se baat karte hai Hume woh kuch-kuch humari hi tarah lagti hai. Jaise me unhe jaanti hu Ya hum same hai. Humari soach, kayi baar Aisa hota hai Jo cheez hum soach rahe hote hai wahi cheez jasmeen di ek naam ke saath express karti hai. Jaise me kuch soach rahi hu Par samjh me nahi aaraha Kaise bolu Ya kya words use karu aur tabhi jasmeen di uss same cheez ko kahe.

Aisa ek incident Hume yaad hai jab jasmeen di humare organization aaye the aur unhone ek presentation di thi aur bahut saari baate bhi hui thi unse woh din Hume acche se yaad hai Hume lag raha tha hum apne aap se baat kar rahe hai Par ek clarity ke saath. Hum uss din bahut emotional ho gaye the aur kuch bol nahi paaye Par I feel ek alag aur pyara sa connection unke saath hai humara jiska naam mujhe nahi pata. Jasmeen di jo slogan use karte "Akeli Aawara Aazad" woh bhi mujhe kaafi accha lagta hai. Humne Aisa lagta hai akele rehna hume aur mazboot banata aur hume naye experience karne ka mauka milta hai khud se. Aawara hona bhi accha hai. Apni marzi se Bina khud ko roke kahi bhi aana jaana humare darr ko door karne me help karta hai. Aazad hona ek Ye bhi matlab hai ke khud ki zimedaari lena. Khud ka khayal rakhna aur khud se pyar karna. Dusre kya bolte humare baare me ya kya soachenge iss khayal se aazadi. Hume ye teens words khud se Jude hue mehsoos hote hai.

Mujhe nahi pata accha mentor exactly kaisa hota hai par humare liye jasmeen di bahut acche/supportive mentor rahe hai Jinhone Hume kaafi motivate kiya aur hum unse Har baar kuch na kuch naya sikhate hai. Aur Haan jis tarah se ek confidence ke saath jasmeen di khud ko artist bolte hai Hume woh bahut Pasand hai. Hume bhi Lagta hai ke hum thode se creative Ya artistic person hai par hum itna confidently bol nahi paate par unko dekh ke hum ab bolne lage hai logo ke samne bhi ke Hum creative hai aur Ye bhi humari ek khoobsurti hai.

Huma

upcoming

Feature 3

Quisque congue porttitor ullamcorper. Nullam sit amet nisi condimentum erat iaculis auctor. Aenean eu justo sed elit dignissim aliquam.